Monday 26 March 2012

Yunhi Besabab Na Phira Karo Koi Sham Ghar Main Raha Karo

~~~Be Sabab~~~
Yunhi besabab na phira karo
Koi sham ghar main raha karo

Wo ghazal ki sachi kitab hai
Usay chupke chupke parha karo

Koi hath b na milaye ga
Jo galay milo gay tapak se,

Ye naye mizaj ka shaher hai
Zra faslay se mila karo,

Abe rah main koi morh hai
Koi ayega koi jayega,

Tmhain jis ne dilse bhula dia
Usay bholnay ki dua karo,

Mujhy ishtihar si lagti hain
Yeh mohabton ki kahanian,

Jo kaha nae wo suna karo
Jo suna nae wo kaha karo,

Nahi behajab wo chand sa
K nazar ka koi asar na ho,

Usay itna garm-e-shoq se
Yun dair tak na taka karo,

Kabe husn-e-parda nasheen b
Ho zra ashiqana libas main,

Jo main bansanwar k kahin chalon
Mere sath tum b chala karo,

Wo khizan ki zard c shal main
Jo udas pairh k pas hai,

Ye tmharay ghar ki bahar hai
Isay ansuon se hara karo,

0 comments:

Post a Comment

Blogroll

free counters