Monday 25 June 2012

Mohabat seekh kar karna


<____GHAZAL____>

Mohabat seekh kar karna

K bin seekhay mohabat ka

SAFar dushwar hota hai

KAbhi inkar hota hai

KAbhi iqrar hota hai

Mohabat seekh kar krana

K bin seekhay mohabat to

Sarabon ki kahani hai

Dukhon ki raaj-dhaani hai

Jo kal ban jay ga badal

Ye dariya ka wo pani hai

Mohabat seekh kar karna

K bin seekhay mohabat to

Azab-e-zindagi thehri

Sharab-e-zindagi thehri

Na ho takmil jis ki wo

Kitab-e-zindagi thehri

Isi khatir to kehta hoon

Mohabat soch k karna

0 comments:

Post a Comment

Blogroll

free counters