Monday, 25 June 2012

Mohabat seekh kar karna


<____GHAZAL____>

Mohabat seekh kar karna

K bin seekhay mohabat ka

SAFar dushwar hota hai

KAbhi inkar hota hai

KAbhi iqrar hota hai

Mohabat seekh kar krana

K bin seekhay mohabat to

Sarabon ki kahani hai

Dukhon ki raaj-dhaani hai

Jo kal ban jay ga badal

Ye dariya ka wo pani hai

Mohabat seekh kar karna

K bin seekhay mohabat to

Azab-e-zindagi thehri

Sharab-e-zindagi thehri

Na ho takmil jis ki wo

Kitab-e-zindagi thehri

Isi khatir to kehta hoon

Mohabat soch k karna

Guzishta saal december main


<_____December____>

Tumhen yaad hai jaana?

Guzishta saal december main,

Isi tarha ka mosam tha

Jab tum nay kaha tha mujh say

Chalo hum naam badaltay hain

Koi achay sy farzi naam

Rakho tum apnay or meray

Han us waqt tumhari baat

Main ny un-suni kar di

Magar jab sy lagi thokar

To ab kuch naam zehen main aye

Aaj isi december main

Wo farzi naam rakhtay hain

Mera naam aaj sy Tanha

Or

Tumhara naam Mosam hai

K "Tanha" anaa-parast thehra

Or mosam bay-wafa jaana...

Usay main nay he likha tha


<_____ADHURA KHATT_____>

Usay main nay he likha tha,

K lehjay barf ho jain to phir pighla nahi kartay,

Parinday darr k urr jain to phir lota nahi kartay,

Yakeen uth jay to phir shayad kabi wapis nahi aata,

Hawaoun ka koi toofan kabi barish nahi lata,

Usay kehnay k sheesha toot jay to kabi phir jurr nahi sakta,

Jo rastay say bhatak jay wo wapis murr nai sakta,

Usay kehna wo bay-maana adhura khatt usay main nay he likha tha,

K chahnay walay mukamal khatt kabi likha nahi kartay,

Kitna dilkash manzar hota jab


Kitna dilkash manzar hota jab ham kartay shikwa teri mohabbat ka,

Or tum lag k seenay say meray,

Dheeray say kehtay

"Chupp Raho Khudaa K liyay"....

Alwida To The Month Of Mercy,


Alwida To The Month Of Mercy,

Alwida To The Month Of Forgiveness,

Alwida To The Month Of Protection Against Fire.

Alwida To The Month Of Generosity,

Alwida To The Month Of Kindness,

Alwida To The Month Of Patience.

Alwida To The Most Blessed Month Of The Year,

Alwida Ramadan!

Main Jab Doob Ke likhta hoon

<___GHAZAL____>

Main jab doob ke likhta hoon

Sab loog mujh se ye kehtay hain

Nazmoon se ishq khuda jaisa

Ghazloon main kaif udasi ka

Kis dost nay tum ko soompa hai

Mera ik jawab humesha hai

Ik shaks jo sher main aaya tha

Kuch rooz wo mere sath raha

Mujhe lehjay ki amrat ras main

Us nay kuch aisa rang dia

Her nazuk dil mooh lenay ka

Mere lafzoon ko aahang dia

Phir soch ke tanay banay main

Uljha ker mujh ko choor gia

Kuch din se us ki yaad yoon hi

Is dil pe dastak deti hai

Aur paoon main zanjeer pari

Kab hum ko janay deti hai

Kab dil main us ki aas nahi

Ye baat alag wo pass nahi

Meri ZINDGI ko ik TAMASHA bana diya TM NE,

<____"*GHAZAL*"_____>

Meri ZINDGI ko ik TAMASHA bana diya TM NE,

Bhari MEHFIL men TANHA bitha dia TM NE,

Aisi kya thi NAFRAT tm ko is masoom DIL se,

Khushian CHURA kar GAM thama dia TM NE,

Bohat NAAZ tha tmhari WAFA pe kabi HUM ko,

Mujh ko hi meri NAZRON me GIRA dia TM NE,

Khud BEWAFA tha meri WAFA ki kia QADR krta

ANMOL tha main "KHAK" me MILA dia TM NE,

Kisi ko YAAD krna to tmhari FITRAT me SHAMIL nhi,

HAWA ka jhonka samjh kar BHULA dia "TUM NE"

Ramadan brings blessings to muslims

Ramadan brings blessings to muslims. alhamdulillah “:

it is coming again among us with peace, blessings, guidance , tolerance , self control , piety & purity . Ya Allah ! accept us, our fasting “:

pardon our sins & bless us with your guidance “:

Certainly, You are Kind & Oft-forgiving . Aameen”:

Sunday, 24 June 2012

Hazaron phool aisy thy agar khilty to acha tha

<__GHAZAL__>

Hazaron phool aisy thy agar khilty to acha tha

Tumhe ko hm ne chaha tha, tumhe milty to acha tha

Jahan phooln ko khilna tha wohen khilty to acha tha

Tumhe ko hm ne chaha tha tumhe milty to acha tha

Koi aa kr hmen poochay tumhen kesy bhulaya hai

Tmhary khatt k ashkoon me shab-e-gham jalaya hai

Hazaron zakhm aisy thy agr silty to acha tha

Tumhe ko hm ne chaha tha tumhe milty to acha tha

Tumhe jitna bhulaya hai tmhari yad aai hai

Bahar-e-nau aai hai to wo khushbu hi laai hai

Tmhary lab meri khatir agar hilty to acha tha

Tumhe ko hm ne chaha tha tumhe milty to acha tha.

<________http://PotryGuru367.blogspot.com__________>

Tuesday, 19 June 2012

Muntkhib Ashar


Kuch Umer Ki PehLi ManziL Thi..

Kuch Rastay Thay Anjaan Bohat..

Kuch Hum Bhi PagaL PagaL Thay..

Kuch Wo Bhi Thay Naadan Bohat

Muntkhib Ashar



Youn Ghalat Bhi Nahi Hotay Chehron K Ta'asur Lekin,

Log Waisay Hotay Bhi Nahi Jaisay Nazar Aatay Hain....

Muntkhib Ashar



Aa daikh meri aankh ka bheega huva mosam

kis ne ye keh diya tuje bhool gaye hain hum....

Muntkhib Ashar


Ek Umar Beet Chali Hai Tujhey Chahtey Hoye….

Tu Aaj Bhi Bey-Khabar Hai Kal Ki !….Tarha….!

Muntkhib Ashar


Nadaan hain jo rakhte hai ummeed kisi par..

Ek zaat-e-khuda ke siwa koi kisi ka nahi hota..

Blogroll

free counters