Showing posts with label Faiz Ahmed Faiz Poetry. Show all posts
Showing posts with label Faiz Ahmed Faiz Poetry. Show all posts

Wednesday, 21 March 2012

Bahar ai to jaise ek bar


Bahar ai to jaise ek bar
laut aye hain phir adam se
vo khvab sare, shabab sare
jo tere honthon pe mar mite the
jo mit k har bar phir jiye the
nikhar gaye hain gulab sare
jo teri yadon se mushkbu hain
jo tere ushshaq ka lahu hain

ubal pare hain azab sare
malal-e-ahaal-e-dostan bhi
khumar-e-agosh-e-mahavashan bhi
gubar-e-khatir k bab sare
tere hamare
saval sare, javab sare
bahar ai to khul gaye hain
naye sire se hisab sare

Tera sutawan jism hai tera


bol k lab azad hain tere
bol zaban ab tak teri hai

Tera sutawan jism hai tera
bol k jan ab tak teri hai

dekh k ahangar k dukan main
tund hain shole surkh hai ahan

khulne lage quflon k dhane
phaila har ek zanjir ka daman

bol ye thora waqt bahot hai
jism-o-zaban k maut se pahle

bol k sach zinda hai ab tak
bol jo kuch kahna hai kah le

Buhat mila na mila zindagi se gam kya hai


buhat mila na mila zindagi se gam kya hai
mata-e-dard baham hai to besh-o-kam kya hai

ham ek umr se waqif hain ab na samjhao
k lutf kya hai mere meharban sitam kya hai

kare na jag main alaw to sher kis maqsad
kare na shahar main jal-thal to chashm-e-nam kya hai

ajal k hath koi a raha hai parwana
na jane aj k fehrist main raqam kya hai

sajao bazm gazal gao jam taza karo
buhat sahi gam-e-geti sharab kam kya hai

lihaz main koi kuch dur sath chalta hai
wagarna dahar main ab khizr ka bharam kya hai

Chand nikle kisi janib teri zebai ka


chand nikle kisi janib teri zebai ka
rang badle kisi surat shab-e-tanhai ka

daulat-e-lab se phir ai khusraw-e-shirin-dahan
aj riza ho koi harf shanasai ka

dida-o-dil ko sambhalo k sar-e-sham-e-firaq
saz-o-saman baham puhuncha hai ruswai ka

Chand roz aur meri jan faqat chand hi roz


chand roz aur meri jan faqat chand hi roz
zulm k chanw main dam lene par majbur hain ham
ik zara aur sitam sah len tarap len ro len
apne ajdad ki miras hai mazur hain ham
jism par qaid hai jazbat pe zanjire hai
fikr mahbus hai guftar pe taziren hain
aur apni himmat hai k ham phir bhi jiye jate hain
zindagi kya kisi muflis k qaba hai
jis main har ghari dard k paiband lage jate hain
lekin ab zulm k miyad k din thore hain
ik zara sabr k fariyad k thore hain
arsa-e-dahar k jhulsi hui wirani main
ham ko rahna hai par yun hi to nahin rahna hai
ajnabi hathon ka benam garan-bar sitam
aj sahna hai hamesha to nahin sahna hai
ye teri husn se lipti hui alam ki gard
apni do roza jawani ki shikaston ka shumar
chandani raton ka bekar dahakta hua dard
dil k besud tarap jism ki mayus pukar
chand roz aur meri jan faqat chand hi roz

Dil main ab yun tere bhule huye gam ate hain


dil main ab yun tere bhule huye gam ate hain
jaise bichre huye kabe main sanam ate hain
ik ik kar k huye jate hain tare raushan
meri manzil k taraf tere qadam ate hain
raqs-e-may tez karo, saz k lay tez karo
su-e-maikhana safiran-e-haram ate hain
kuch hamin ko nahin ehsan uthane ka dimag
wo to jab ate hain mail-ba-karam ate hain
aur kuch der na guzare shab-e-furqat se kaho
dil bhi kam dukhta hai wo yad bhi kam ate hain

Dono jahan teri mohabbat main har k


dono jahan teri mohabbat main har k
wo ja raha hai koi shab-e-gam guzar k
viran hai maikada khum-o-sagar udas hai
tum kya gaye k ruth gaye din bahar k
ik fursat-e-gunah mili, wo bhi char din
dekhe hain ham ne hausale parvar-digar k
duniya ne teri yad se begana kar diya
tujh se bhi dil fareb hain gam rozagar k
bhule se muskura to diye the wo aj ‘Faiz’
mat puch val-vale dil-e-na-kardakar k

Aaye Kuchh Abr Kuchh Sharaab Aaye


Aaye Kuchh Abr kuchh sharaab aaye 
us ke baad aaye jo azaab aaye 


baam-e-miinaa se maahataab utare 
dast-e-saaqii me.n aaftaab aaye 


har rag-e-Khuu.N me.n phir charaaGaa.N ho 
saamane phir wo benaqaab aaye 


umr ke har waraq pe dil ko nazar 
terii meher-o-wafaa ke baab aaye 


kar rahaa thaa Gam-e-jahaa.N kaa hisaab 
aaj tum yaad behisaab aaye 


na gaii tere Gam kii saradaarii 
dil me.n yuu.n roz inqalaab aaye 


jal uThe bazm-e-Gair ke dar-o-baam 
jab bhii ham Khaanamaa.N_Kharaab aaye 


is tarah apanii Khamashii guu.Njii 
goyaa har simt se jawaab aaye 


'Faiz' thii raah sar basar ma.nzil 
ham jahaa.N pahu.Nche kaamayaab aaye

Blogroll

free counters