Thursday, 29 March 2012

Aik Shakhs Our Zamane Se Juda Ho Gya


~~~Ghamain Ishq~~~

Aik Shakhs Our Zamane Se Juda Ho Gya

Hasti Hui Ankhon Ko Ghamain Ishq Ne Bigho Dia

Ik Umar Bhar Ka Sathi Mujh Se Khafa Ho Gya

Zabat Rakhta To Kese Hath Qabar Pe Rakha Ro Diya

Mera To Ik Baab Zindagi Ki Saza Ho Gya

Ho Kay Bekhabar Zamane Se To Tu Soo Diya

Kuch Daman Meri Palkon Ka Yun Halka Ho Gya

Chand Ansoo Mere Jhukay Tere Kadmon Ko Chome Lia

Aaingay Tere Pas KASHIF Agr Wada Wafah Ho Ga

Ik Hissah Tere Sath Nam Palkon Se Paro Diya

Wednesday, 28 March 2012

Ab Hua Hun Main Mukamil Apny Ghamoon Main

~~~Mukamil~~~

Ab Hua Hun Main Mukamil Apny Ghamoon Main

Us Kay Gham Ki Kami Thi Mere Ghamoon Main

Choot Lagti Thi Mere Dard Hota Tha Husay

Yeh B Lamha Tha kabi Mere Lamhon main

Ab To Soch B Mehdood,Meri Zaat Tak

Ik Hajoom Saa Rehta Tha Meri Ankhon Main

Us kay Khiyal Kay Tasawor Main Rehne Say

Ik Ajeeb Mehak Thi Meri Sansoon Main

Tnhai Say Nisbat, Kab Chaha Tha Main Ne

Yeh Kesi Khaza hai Mere Mosmoon Main

Sab Ne Jhanka Meri Zaat Main KASHIF

Wo Ik Bas Anuwan Tha Meri Batoon Main

Ab To Us ka Nishan Dhondtay Dhondtay

Ghird Si Jham Gai Hai Mere Balon Main

Ghalat Simmat Chalo Ge To Maat Ho Gi

~~~Roop Haqeekat Ka~~~

Ghalat Simmat Chalo Ge To Maat Ho Gi

Kisi modh Pe Mile To Baat Ho Gi

Ik Wo Hai K Samjhta Hi Nhi

Beghair Us K Mukamil Kesay Zaat Ho Gi

Jis Din Main Judda Tum Se Hua

Meri Sansoon Ki Aakhri Raat Ho Gi

Chale Aao K Wiran Hain Dil Ki Galian

Tere jalwon Ki Kab Barsaat ho Gi

Faslon Se Kab Mita, Qurbaton Ka Asar

Teri Soch Pe har Pal meri Ghat Ho Gi

Mere Khawabon Ko Mile “Roop Haqekat Ka”

Na Jane Kab KASHIF Yeh Karamat Ho Gi

Apni Zaat Main Hamare B Hawale Rakhna

~~~Diya~~~

Apni Zaat Main Hamare B Hawale Rakhna

Dil Tumhain Diya Hai To Sunbhale Rakhna

Samajh Dushman Hai Chura Na Lay Kahin

Hamare Khawabon Ko Apny Sarhane Rakhna

Piyar Tumhain Dain Gay Piyar Se B Ziyada

Bas Ankhon main Sapno Ko Suhane Rakhna

Yaqeen Hai Mujhay Tu Hi Hai Muqadar Mera

In Kanwal Si Ankhon Ko Mehkaye Rakhna

Mosam Agr Tum Se Kabhi Hone Laghe Khafah

Hamari Tarah Tum B Khushiyan Bachye Rakhna

Ishq Main Kabhi Tum Zaat Na Karna Shamil KASHIF

Ankhon Main Chahton Kay Diye Jalaye Rakhna

Aap Ki ankhon Main Nashah Hai

~~~Baserah~~~

Aap Ki ankhon Main Nashah Hai

Aap Ki Baton Main Mazah Hai

Dil Main Piyar ki Shamah Jilah Do

Zindagi Main Andhera Badha Hai

Aap Ko Pana Hamari Qismat

Bohat Kuch Khona Padha Hai

Dekho Bay Rukhi Mat Karna

Aap Ko Hamara Pata Hai

Tumhari Muhabbat K Sahary Zindha Hun

Warna Zindagi To Ik Saza Hai

Rab Say Mangi Thein Khushian

Meri Duaon Ka To Silah Hai

Zindagi Bay Qarar Rehti Thi

Ab Ja Kay Skon Mia Hay

Tumhara Bichadhna Moot Ho Gi

Apni Sazaon Main Yeh Likhna Hai

Sadian Beet Jany Day KASHIF

Ab To In Ankhon Main Baserah hai

Apni Ankhon Say Ghamon ko Nichoor De

~~~Ab To Lot Aao~~~

Apni Ankhon Say Ghamon ko Nichoor De

Zindagi K Kuch Faisalay Hum Pe Chodh De

Eyan Hai Tere Wajood Ki Daradh Ka Manzar

Aana Ki Sub Diwarain Ab Tu Todh De

Be Krarian Be Wajha Satain Gi Tumhain

Sabhi Rasty Zindagi kay Meri Tarafh Modh de

Ya Rab Usay Ab To Mera Kar de

Shab-o-Roz Meri Duaon Ka Silah Modh de

Har Jeet To Piyar Ka Hissah hai KASHIF

Bikhari Hui Dadhkano ko Phir Se Modh De

Tuesday, 27 March 2012

Aaj Wo B Rukhsat Hua Hum Say

~~~Vichodah~~~

Aaj Wo B Rukhsat Hua Hum Say

Ankh Khuli Thi Jis K Sangh

Dil Ko Dadhkana Jis Nay Sikhaya

Meri Zaat main Bhare Jis Ne Rang

Lab Pay Musartain Bikheri Jis Nay

Mere Dil main Lagayi Hasraon Ki Jungh

Chu Kar Apny Narm Puron kay Lams Say

Mere Dil Say Utare Jis Nay Rang

Kaha Tha k Bichadhna To Mita Dena Tum

Bay Hal Si Bachi Jo Dil Main Omangh

Har Bar Tuta Hay Dil Mera

~~~Taluk~~~

Har Bar Tuta Hay Dil Mera

Shakh Say Giray Patta Jesay

Wo Mere Wajood Ka Hissah Hay

Chand Lehron Ka Taluk Ho Jesay

Kabi Sooch Bath Kay Tanhai Main Mujhay

Koi Karta Hay Wird Khuda Ka Jesay

Meri Soch Pay havi Hay KASHIF

Koi Duaon Main Kisi ko Mangay Jesay

Hath Uthaon To Ho Jati Hay Khuahish

Mere Pichay Meri Man Ki Dua Ho Jesay

Sajha K Sapny Ankhon Main

~~~Hum Safar~~~

Sajha K Sapny Ankhon Main

Bari Zindagi Utha K Palkon Par

Tamannai Dil Main Machalti Hain

Jab Sawan ki jadhi lagti Hai

Ho Kay Door Humsafar Say

Yeh Duniya Wirani lagti Hai

Jab Hansti Ho Bay-Bak Ho Kar

To Kitni Piyari Lagti Ho

Karti Ho Jab band Ankhain

To Kis Ko Socha karti Ho

Tum Mujh ko Sundar Lagti Ho

Mere Dil ka Mandar Lagti Ho

Muhabbat Ebadat Muhabbat Pooja

Tum Kitni Ebadat Karti Ho

Tu Hay Haseen Har Pal Lagta Hai

~~~Dar Tanhai Ka~~~

Tu Hay Haseen Har Pal Lagta Hai

Bin Tere Dunia Kay Jungal Say dar Lagta Hai

Tere Ishq Ko Jilaya Ankhon Kay Chiragon Main

Koi Our Na Jal Jaye Is Main Dar Lagta Hai

Meri Zat Main Ik Tu Hi To Hai

Koi Our Na Ho Jaye Shamil Dar Lagta Hai

Bay Shak Gilah Karna, Bay Shak lardna Mujh say

Na Hona Hum say Khafa, Judai say Dar Lagta Hai

Tujh Say Itna Piyar, Kuch nazar Na Aye Us Par

Roth Na jaye Mujh say Khuda dar Lagta Hai

Ik Wo Hay K Bay Khabar, Mujh Ko Dar Tanhai Ka

Mujh Ko apni Sochon say KASHIF Dar Lagta Hai

Wo Meri Soch Say Bigana Hai

~~~Bay Khabar~~

Wo Meri Soch Say Bigana Hai

Abi Rasty Main Zamana Hai

Manzil Lakh Ho Samany Mere

Bas Ik Tum Ko Pana Hai

Tumhain Dekh K Diwana Hona Mera

Dadhkano K Tasalsal Ka Bighardna

Din Rat Rehta Hun Muztarib

Jab Say Us Ko Jana Hai

Main Usy Roz Takta Hun KASHIF

Aaj Phir Usy Modh Pay Aana Hay

Uljhy Huy Halat Nay Uljha Dia Mujhay

~~~Aay Zindagi~~~

Uljhy Huy Halat Nay Uljha Dia Mujhay

Aay Zindagi Tunay Kaha Pohncha Dia Mujhay

Samny Darya Hay Soch Ka Par Kese Karain

Aay Zindagi Is Soch Nay Thaka Dia Mujhay

Hazar Khawahishain Thak Gai hain Ankhon main

In Khawahishon Nay jaghna Sikha Dia Mujhay

Main To Paghal, man main Jalata Raha Diya KASHIF

Aaj Pata Chala Us Nay To Bhula Diya Mujhay

Hoslah To Kamal Tha yeh dard B To Kamal Hai

Is Dard-e-Sanam Nay Aaj To Rula Diya Mujhay

Monday, 26 March 2012

Yunhi Besabab Na Phira Karo Koi Sham Ghar Main Raha Karo

~~~Be Sabab~~~
Yunhi besabab na phira karo
Koi sham ghar main raha karo

Wo ghazal ki sachi kitab hai
Usay chupke chupke parha karo

Koi hath b na milaye ga
Jo galay milo gay tapak se,

Ye naye mizaj ka shaher hai
Zra faslay se mila karo,

Abe rah main koi morh hai
Koi ayega koi jayega,

Tmhain jis ne dilse bhula dia
Usay bholnay ki dua karo,

Mujhy ishtihar si lagti hain
Yeh mohabton ki kahanian,

Jo kaha nae wo suna karo
Jo suna nae wo kaha karo,

Nahi behajab wo chand sa
K nazar ka koi asar na ho,

Usay itna garm-e-shoq se
Yun dair tak na taka karo,

Kabe husn-e-parda nasheen b
Ho zra ashiqana libas main,

Jo main bansanwar k kahin chalon
Mere sath tum b chala karo,

Wo khizan ki zard c shal main
Jo udas pairh k pas hai,

Ye tmharay ghar ki bahar hai
Isay ansuon se hara karo,

Kaho To Laut Jate Hain

Kaho To Laut Jate Hain
Abhi To Baat Lamhon Tak He, Saalon Tak Nahi Aai
Abhi Muskaanon Ki Nobat Bhi Naalon Tak Nahi Aai
Abhi To Koi Majborri Khiyaalon Tak Nahi Aai
Abhi To Gard Peroon Tak Hay. Baalon Tak Nahi Aai


Kaho To Laut Jate Hain
Chalo Ek Faisla Karne Shajar Ki Aut Jate Hain
Abhi Kajil Ki Dori, Surkh Galon Tak Nahi Aai
Zubaan Datoon Talak Hai Zehr Piyaalon Tak Naheen Aai
Ibhi To Mushk-E-Kustori Ghazaloon Tak Nahin Aai
Ibhi Rodad-E-Beunwaan Humaray Darmian He, Duniyan Waaloon Tak Nahin Aai
Kaho To Lout Jatan Hain

Chalo Ik Faisala Karnay Sharjer Ki Out Jatan Han
Abhi Nazdeek Hein Ghar Aur Manzil Door He Apni
Mubada Naar Ho Jayay Ye Hesti Noor Hai Apni

Kaho To Lout Jatay Han
Chalo Ik Fasala Karnay Shajar Ki Out Jatan Han.
Ye Rasta Piyar Ka Rasta,
Rasan Ka Daar Ka Rasta,
Bohat Dushwar He Jaana
Keh Is Rastay Ka Her Zarra Bhi Ik Kohsar He Jana.

Kaho To Lout Jatay Hain

Maray Baray Na Kuch Socho
Mujhay Tay Karna Ata He
Rasan Ka Daar Ka Rasta
Ye Asaiboon Bhara Rasta
Ye Andhi Ghaar Ka Rasta

Tumhary Gaisoowun Ki Chaoon Mil Jayay
To Suraj Se Ulajhna Baat He Kia He
Utha Lo Apna Saya To Meri Ouqat Hi Kia He
Tumhara Narm O Nazuk Hath Ho Gr Mere Haathon Me
To Me Ye Samjho Ga
Ke Jasay Do Jahan Ho Mari Muthi Me
Tumhara Kurb Ho To Mushkilan Kafoor Ho JaYen
Ye Undhay Ur Kalay Rastay Pur Noor Ho JaYan.

Mujhe Maloom Hei Itna Keh Dayem Zandagi Posheeda He In Char Kadmoon Me
Bohat Si Ra-Hatan Muzmir Hain In Dushwar Rastoon Man
Meray Baray Na Kuch Socho
Tum Apni Bat Batlaoo
Kahoo To Chaltay Rahtay Hain…

Kahoo To Lout Jatay Hain…… 

Saari Raat ki Jagi ankhen

Saari Raat ki Jagi ankhen
College Mai kya Parhti hongi
Likhti hon ge Khat kagaz Par
Mera Zikr hi Krti hongi
Doston se ye Kehti hongi
Aaj boht Wo Yad Aye Hain
Agar wo hotey to Kehti un se
Likhna Parhna aur ye sab kuch
Kuch bhi Nahin Acha Lagta
Tum Jo mere pass nahi ho
Aa jao Bas aa jao tum!


Thursday, 22 March 2012

Yeh Meri Ankhon Main Kya Hay


Nu Hay To Hussain Har Pal Lagta Hay


Galat Simat Chalo Gay To Maat Ho Gi


Apni Zaat Main Hamary b Hawaly Rakhna


Ab Hua Hun Main Mukamil


Har Shakhs Kitaboon Jaisa Hai

Har Shakhs Kitaboon Jaisa Hai

Har Aik Kahani Rakhta Hai

Kisi Ki Ankh Purnam Hai

Koi Ankh Sohani Rakhta Hai

Koi Dard Chopaye Betha Hai

Koi Yaad Purani Rakhta Hai

Koi Surat Mastani C Hai

Koi Sharah Siyani Rakhta Hai

Koi Naram Sajaye Betha Hai

Koi Sath Veerani Rakhta Hai

Kahein Dosti Ki Koi Had Nahi

Koi Kho’n Afshani Rakhta Hai

Koi Daira Daal K Betha Hai

Koi Nakal Makani Rakhta Hai

Us Shakhs Ko Tum Zinda Samjo

Jo Ankh Mai Paani Rakhta Hai

Koi Khush Hai Surkh Dopatty Mai

Koi Khairi Daani Rakhta Hai

Wo Chal Hi Aysi Hai Warna

Driya Bi Rawani Rakhta Hai

Us Sayal Ko Samjao Jo

Bhar Poor Jawani Rakhta Hai

Us Tayer Ko Zi Fahm Kaho

Jo Nakal Makani Rakhta Hai

Koi Be Wafa Hai To Koi ba Wafa

Koi Ishq Aasmani Rakhta Hai

Gar Sharah Attal Ho Kashif

Har Haruf maeni Rakhta Hai



{In Urdu With Picture}




Wednesday, 21 March 2012

Sun to sahii jahaan main hai teraa fasaanaa kyaa


Sun to sahii jahaan main hai teraa fasaanaa kyaa
kahti hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa kya

zina saba kaa Dhundati hai apni musht-e-Khaak
baam-e-baland yaar ka hai astana kya

ati hai kis tarah se meri kabz-e-ruuh ko
dekhun to maut dhund rahe hai bahana kya

betab hai kamal hamara dil-e-aziim
mahmaan saray-e-jism ka hoga ravana kya

Bahar ai to jaise ek bar


Bahar ai to jaise ek bar
laut aye hain phir adam se
vo khvab sare, shabab sare
jo tere honthon pe mar mite the
jo mit k har bar phir jiye the
nikhar gaye hain gulab sare
jo teri yadon se mushkbu hain
jo tere ushshaq ka lahu hain

ubal pare hain azab sare
malal-e-ahaal-e-dostan bhi
khumar-e-agosh-e-mahavashan bhi
gubar-e-khatir k bab sare
tere hamare
saval sare, javab sare
bahar ai to khul gaye hain
naye sire se hisab sare

Tera sutawan jism hai tera


bol k lab azad hain tere
bol zaban ab tak teri hai

Tera sutawan jism hai tera
bol k jan ab tak teri hai

dekh k ahangar k dukan main
tund hain shole surkh hai ahan

khulne lage quflon k dhane
phaila har ek zanjir ka daman

bol ye thora waqt bahot hai
jism-o-zaban k maut se pahle

bol k sach zinda hai ab tak
bol jo kuch kahna hai kah le

Buhat mila na mila zindagi se gam kya hai


buhat mila na mila zindagi se gam kya hai
mata-e-dard baham hai to besh-o-kam kya hai

ham ek umr se waqif hain ab na samjhao
k lutf kya hai mere meharban sitam kya hai

kare na jag main alaw to sher kis maqsad
kare na shahar main jal-thal to chashm-e-nam kya hai

ajal k hath koi a raha hai parwana
na jane aj k fehrist main raqam kya hai

sajao bazm gazal gao jam taza karo
buhat sahi gam-e-geti sharab kam kya hai

lihaz main koi kuch dur sath chalta hai
wagarna dahar main ab khizr ka bharam kya hai

Chand nikle kisi janib teri zebai ka


chand nikle kisi janib teri zebai ka
rang badle kisi surat shab-e-tanhai ka

daulat-e-lab se phir ai khusraw-e-shirin-dahan
aj riza ho koi harf shanasai ka

dida-o-dil ko sambhalo k sar-e-sham-e-firaq
saz-o-saman baham puhuncha hai ruswai ka

Blogroll

free counters