Thursday, 22 March 2012

Har Shakhs Kitaboon Jaisa Hai

Har Shakhs Kitaboon Jaisa Hai

Har Aik Kahani Rakhta Hai

Kisi Ki Ankh Purnam Hai

Koi Ankh Sohani Rakhta Hai

Koi Dard Chopaye Betha Hai

Koi Yaad Purani Rakhta Hai

Koi Surat Mastani C Hai

Koi Sharah Siyani Rakhta Hai

Koi Naram Sajaye Betha Hai

Koi Sath Veerani Rakhta Hai

Kahein Dosti Ki Koi Had Nahi

Koi Kho’n Afshani Rakhta Hai

Koi Daira Daal K Betha Hai

Koi Nakal Makani Rakhta Hai

Us Shakhs Ko Tum Zinda Samjo

Jo Ankh Mai Paani Rakhta Hai

Koi Khush Hai Surkh Dopatty Mai

Koi Khairi Daani Rakhta Hai

Wo Chal Hi Aysi Hai Warna

Driya Bi Rawani Rakhta Hai

Us Sayal Ko Samjao Jo

Bhar Poor Jawani Rakhta Hai

Us Tayer Ko Zi Fahm Kaho

Jo Nakal Makani Rakhta Hai

Koi Be Wafa Hai To Koi ba Wafa

Koi Ishq Aasmani Rakhta Hai

Gar Sharah Attal Ho Kashif

Har Haruf maeni Rakhta Hai



{In Urdu With Picture}




0 comments:

Post a Comment

Blogroll

free counters