Apni tasweer ko ankhon se lagaata kya hai
Ek nazar meri taraf dekh, tera jaata kya hai
Meri rusawai main tu bhi hai barabar ka sharik
Mere qisse mere yaaron ko sunaata kya hai
Paas reh kar bhi na pahachan saka tu mujh ko
Duur se dekh kar ab haath hilaata kya hai
Safar e shauq main kyun kanpte hain paon tere
Duur se dekh kar ab haath uthaata kya hai
Umr bhar apne gireban se ulajhane wale
Tu mujhe mere saaye se daraata kya hai
Mar gaye pyaas ke mare to utha abr e karam
Bujh gai bazm to ab shama jalaata kya hai
Main tera kuch bhi nahi huun, magar itna to bata
Dekh kar mujh ko tere zehan main aata kya hai
Shehzad Ahmed
0 comments:
Post a Comment